1. laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur
[ laazim = necessary, tanha = alone ]
2. mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur
[ dar = door, naasiyaa = forehead, farsa = to kneel down and touch
the forehead on the ground as in prostrate ]
3. aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaooN
maana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur
4. jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge
kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?
5. haaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif'
kya tera bigaData jo na marta koee din aur ?
[ falak = sky/heaven, falak-e-peer = reffering to the sky ]
6. tum maah-e-shab-e-char_dahum the; mere ghar ke
phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?
[ maah-e-shab-e-char_dahum = moon of the fourteenth night ]
7. tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta malak_ul_maut taqaaza koee din aur ?
[ daad = justice, sitad = to take (Note : the word 'sitad'
is not used by itself, but is used along with 'daad' as
in 'daad-o-sitad', meaning 'buyling and selling'/'settlement
of accounts'. I have given separate meanings of the words
for the benefit of the readers.), malak = an angel,
malak_ul_maut = angel of death, taqaaza = demanding/pressing
settlement of a claim ]
8. mujhse tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee
bachhoN ka bhee dekha na tamaasha koee din aur ?
9. guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush
karna tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur
[ baharhaal = in any case, javaaN_marg = one who dies young ]
10. naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib'
qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur ?
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. koee ummeed bar naheeN aatee
koee soorat nazar naheeN aatee
2. maut ka ek din mu'ayyan hai
neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?
[ mu'ayyan = definite ]
3. aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
ab kisee baat par naheeN aatee
4. jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheeN aatee
[ sawaab = reward of good deeds in next life, taa'at = devotion,
zahad = religious deeds or duties ]
5. hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
warna kya baat kar naheeN aatee ?
6. kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
meree aawaaz gar naheeN aatee
7. daaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee
[ chaaraagar = healer/doctor ]
8. ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee
9. marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee
10. kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
sharm tumko magar naheeN aatee
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. koee din gar zindagaanee aur hai
apne jee meiN hamne THaanee aur hai
2. aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN
soz-e-GHam haay nihaanee aur hai
[ dozaKH = hell, soz = passion/heat, nihaanee = internal/hidden ]
3. baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN
par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai
[ sar_giraanee = pride ]
4. deke KHat muNh dekhta hai naamabar
kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai
[ naamabar = messenger ]
5. qaata-e-'amaar hai aksar nujoom
woh balaa-e-aasmaanee aur hai
[ qaata-e-'amaar = killers, nujoom = stars,
balaa-e-aasmaanee = natural calamity ]
6. ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee aur hai
[ balaayeN = calamities, marg = death, naagahaanee = sudden/
accidental ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?
[ nawaa_sanj = singer, fuGHaaN = clamour ]
2. woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ?
subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?
[ KHoo = habit, waz'a = conduct/behaviour, subak_sar = light headed/
unsteady, sar_giraaN = arrogant/proud ]
3. kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?
[ GHam_Khawaar = comforter, taab = courage/patience,
raazdaaN = friend ]
4. wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?
[ sang_dil = hard hearted/merciless, sang-e-aastaaN = threshold ]
5. qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?
[ qafas = cage/prison, roodaad = report/statement ]
6. ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?
[ nihaaN = hidden ]
7. GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai
na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?
[ jazba = desire/feeling, shikwa = complaint,
kashaakash = struggle/dilemma, darmiyaaN = betwwen ]
8. ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?
[ fitna = quarrel, KHaanaa_weeraanee = ruinning of home ]
9. yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?
[ 'adoo = enemy, imtihaaN = examination ]
10. kaha tumne ki "kyoN ho GHair ke milne meiN ruswaaee ?"
baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"
[ ruswaaee = disgrace, baja = right/correct ]
11. nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?
[ taa'an = taunter, be_mehar = unkind/repulsive ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
No comments:
Post a Comment