1. GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke
[ bosa = kiss, tishna = thirsty ]
2. KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke
[ KHastagee = injury/sickness, shikawa = complaint,
hathkanDe = tactics, charKH = sky, neelee_faam = blue colour/
complexion ]
3. KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke
4. raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'eharaam ke
[ zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy,
mai = wine, subh_dam = at dawn, 'eharaam = dress for 'haj' ]
5. dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke
[ halqa = ring/circle, daam = net/trap ]
6. shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hammaam ke
[ GHusl = bath, sehat = health, hammaam = a hot bath where a masseur
gives massage and bath ]
7. ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the; kaam ke
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair
2. kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan
jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair
[ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]
3. kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair
[ sitamgar = oppressor ]
4. jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair
5. choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna
choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair
[ but = idol/lover, KHalq = world ]
6. maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair
[ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]
7. har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo
bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair
[ mushaahit = God, baada = wine ]
8. behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair
[ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]
9. 'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur
[ gumaaN = doubt/suspicion ]
2. yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur
3. abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur
[ abroo = eyebrow, paiband = patch ]
4. tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur
5. harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur
[ subak_dast (or sabuk_dast both are correct) = expert,
but_shikanee = iconoclast, sang = stone, giraaN = heavy ]
6. hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur
[ deeda = eye, KHooNnaaba = mixture of blood and water,
{KHooNnaaba = KHooN (= blood) + aab (= water)}, fishaaN = shed
/spread, KHooNnaaba_fishaaN = to sheds tears of blood ]
7. marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'
[ jallaad = executioner ]
8. logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur
[ Khursheed = sun, taab = power/courage, nihaaN = hidden ]
9. leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur
[ fuGHaaN = clamour ]
10. paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur
[ naale = lamentation, tab'a = temperament ]
11. haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur
[ suKHanwar = poet ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ?
maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN
[ maqdoor = capable, nauhaagar = mourner/lamenter ]
2. choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ?
har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ?
[ rashk = jealousy ]
3. jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar
'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN
[ raqeeb = opponent, rahguzar = road/path ]
4. hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e
kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ?
5. lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai
yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN
6. chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath
pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN
[ rau = currents, raahabar = guide ]
7. KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar
kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ?
[ 'ahmaq = fool/idiot, parastish = worship, but = idol/lover,
bedaadgar = cruel ]
8. fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar
jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN
[ be_KHudee = rapture, koo-e-yaar = lover's street ]
9. apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka
samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN
[ qiyaas = supposition, 'ahl = people, dahar = period/era,
pazeer = receiving, mata'a = wealth, hunar = skill ]
10. 'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz
dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN
[ sawaar = ride, samand = horse, aalee_guhar = belonging to a
high caste or a rich family ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
[ guftgoo = conversation ]
2. na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
[ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]
3. yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
[ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,
KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,
adoo = enemy ]
4. chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
[ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,
rafoo = mending/darning ]
5. jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
[ justjoo = desire ]
6. ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
7. woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
[ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine,
gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like
the smell of musk ]
8. piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
[ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]
9. rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
[ guftaar = speech/discourse ]
10. bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?
[ musaahib = comrade/associate ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
2. Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle
[ KHooN = blood, chashm = eye, tar = wet, dam_ba_dam = continously ]
3. nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
[ KHuld = heaven, be_aabaru = disgrace, koocha = street ]
4. bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle
[ daraazee = length/delay, qaamat = stature, turra = an ornamental
tassel worn in the turban, pech-o-KHam = curls in the
hair/complexity ]
5. magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle
6. huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle
[ mansoob = association, baada_aashaamee = association with
drinking ]
7. huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle
[ tavaqqo = expectation, KHastagee = weakness, daad = justice,
KHasta = broken/sick/injured, teGH = sword, sitam = cruelity ]
8. mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle
9. zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
10. KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
11. kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
[ waaiz = preacher/advisor ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai
[ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]
2. bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai
[ bosa = kiss ]
3. aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai
[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]
4. be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai
[ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]
5. unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai
6. dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai
[ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]
7. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai
[ ham_suKHan = together, tesha = axe ]
8. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai
[ ma'aal = result ]
9. KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai
[ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/
God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]
10. hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. ibn-e-mariyam huwa kare koee
mere dukh kee dawa kare koee
[ ibn = son/child, mariyam = virgin Mary ]
2. shar'a-o-aaeen par madaar sahee
'eise qaatil ka kya kare koee ?
[ shar'a = the Islamic divine code of life, aaeen = law/custom/mode,
madaar = orbit/circumference/a place of turning ]
3. chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer
dil meiN 'eise ke jaa kare koee
[ jaa = space ]
4. baat par waaN zubaan kaT_tee hai
woh kahaiN aur suna kare koee
5. bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch
kuchch na samjhe KHuda kare koee
[ junooN = ecstasy ]
6. na suno gar bura kahe koee
na kaho gar bura kare koee
7. rok lo, gar GHalat chale koee
baKHsh do gar KHata kare koee
[ baKHsh = pardon, KHata = mistake/slip ]
8. kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ?
kiskee haajat rawa kare koee
[ haajat_mand = person in need, haajat = need, rawa = fulfill ]
9. kya kiyaa KHijr ne sikandar se
ab kise rehnuma kare koee ?
10. jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?
[ tavaqqo = expectations, gila = complaint ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?
[ jaur = opression/tyranny ]
2. raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?
[ gardish = misfortune/wandering about ]
3. laag ho to usko ham samjaiN lagaav
jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?
[ laag = love/affection ]
4. ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ?
yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?
[ naamaabar = messanger ]
5. mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ?
[ mauj = wave, mauj-e-KHooN = bloody waves, aastaan = abode ]
6. umr bhar dekha kiye marne kee raah
mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?
7. poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
koee batlao ki ham batlaayaiN kya ?
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
jaaN kaalbud-e-soorat-e-deewaar meiN aave
[ naaz = blandishment/pride/grace, guftaar = speech/discourse,
kaalbud = the body/form/model ]
2. saaye kee tarah saath firaiN, sarv-o-sanobar
too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave
[ sarv-o-sanobar = pine & cypress, qad = stature/size/figure,
gulzaar = bed of roses/garden ]
3. tay naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq baja hai
jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave
[ tay = decided/ended, giraaN = precious, giraaN_maaya = of great
value, ashq = tears, baja = right/correct, laKHt = piece/fragment,
deeda = sight, KHooNbaar = shedding blood ]
4. de mujhko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar
kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave
[ sitamgar = oppressor, aazaar = illness/harm ]
5. uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara
tootee kee tarah aaeena guftaar meiN aave
[ chashm = eye, fusooN_gar = magician, tootee = bird (could be
a parrot), guftaar = speech ]
6. kaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab !
ik aablaa_paa waadee-e-pur_KHaar meiN aave
[ aablaa = blister, aablaa_paa = having blisters on the feet,
waadee = valley, pur_KHaar = full of thorns (KHaar = thorn) ]
7. mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk
aaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar meiN aave
[ rashk = jeaously, tan-e-naazuk = having delicate body,
aaGHosh = embrace/bosom, KHaam = raw/unripe/crude, halqa = circle,
zunnaar = the sacred thread worn by hindus ]
8. GHaarat_gar-e-naamoos na ho gar hawas-e-zar
kyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave
[ GHaarat = plunder/ravage, naamoos = reputation/honour,
zar = money/wealth, shaahid = sweetheart ]
9. tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN
jab ik nafas uljha huaa har taar meiN aave
[ chaak = torn, girebaaN = collar, nafas = breath ]
10. aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se
de waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave
[ raaz-e-nihaan = hidden secrets, maa'ariz = boundary ]
11. gaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye
jo lafz ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave
[ gaNjeena = treasure, maa'anee = meaning, talism = magic,
ash'aar = couplets ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
1. kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse
[ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]
2. KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse
[ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]
3. woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse
[ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/
admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]
4. udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse
[ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]
5. sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse
6. takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse
[ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]
7. hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse
[ nabard-e-ishaq = struggle in love ]
8. qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.
No comments:
Post a Comment